The novel is about those peoples who sometime makes a small mistake & pay big for that & then they keep thinking that there must be some will of GOD in this mishap
aur Main zindigi main pehli baar Darbaar E Dil main dakhil ho raha tha aur wahan DIL apnay poray Gharooor kay sath betha tha ... Ajeeb Gharoor that uskay wajood main ... aur uskay darbar main har koi ghutnoon kay bal gira hua tha ... sirf main tha jo apnay pairoon per chalta hua wahan aaya tha ... shayad kabhi woh sab bi apnay pairoon per chaltay huay hi wahan aiay hoon gain ... sirf main tha jo apnay pairoon per wahan khara tha ... shayad woh sab bi wahan apnay pairoon per kharay hoon gain ... aur sirf main tha jo wahan takht per bethay DIL kay samnay khara usko dekh raha tha aur DIL ... uskay hountoon per AJAB muskurahat thi shayad wahan aanay wala har koi pehlay yunhi dekhta ho ga ... woh apnay darbar main BAADSHAH tha woh DARBAR E DIL tha aur main .... main ... aakhir main wahan kyoun aaya tha ya laya gaya tha ...
Naam ?
Khurram Aziz ...
Umer ?
23 saal ...
Muhabbat ?
Andhi ...
main nay chonk kar usay dekha ... woh kya hadh jari kar raha tha mugh per? ... muhabbat andhi?.... andhi muhabbat? ... tu main andhi muhabbat ka shikaar hua tha ... main nay Dil ki taraf dekha woh kah raha tha " khurram aziz ... Blind Love ... rare Species ... Pure & blinD Love main isay rakhna chahoon ga " usnay tali bajai ... kiis nay meray wajood ko zanjeeron say jakra ... phir main farsh per gir para .....